Shaah-e-mardaan Ali
Ali Ali Ali
Ali Maula Ali
Patthar pe alam deen ka garaa jisne
Lalkaar kar Marhab ko pichaaraa jisne
Haq
Ali Ali Ali
Ali Maula Ali
Jap le jap le mere manvaa
Yahii naam sacchaa hai pyaare
Yahii naam tere sab dukh haare
Isii naam kii barkat ne diye raaz-e-haqiiqat khol
Shaah-e-mardaan Ali
La fataa illah Ali
Sher-e-yazdaan Ali
Tan par Ali, Ali ho zubaan par Al Ali
Mar jauun to kafan par bhii likhna Ali Ali
Baghair hubb-e-Ali mudd’aa nahiin miltaa
Ibaadaton kaa bhii hargiz silaa nahiin miltaa
Khudaa ke bandon suno ghaur se Khudaa kii qasam
Jise Ali nahiin milte use Khudaa nahiin miltaa
Basad talaash na ab kuch vus’at-e-nazar se milaa
Nishaan-e-manzil-e-maqsuud raahbar se milaa
Ali mile to mile Khaana-e-Khudaa saa hamen
Khudaa ko dhuundha to vo bhi Ali ke ghar se milaa
Diid Haider kii ibaadat, hai ye farmaan-e-nabii
Hai Ali ruuh-e-nabii, jism-e-nabii, jaan-e-nabii
Gul-e-tathiir Ali
Haq kii shamshiir Ali
Piiron ke piir Ali
Dast-e-ilaa kyuun na ho sher-e-Khudaa Ali
Maqsuud har ataa hai shah-e-laa-fataa Ali
Jis tarah ek Zaat-e-Muhammad hai be-misaal
Paidaa hu’aa na hogaa ko’ii duusraa Ali
Bedam yahii to paanch hain maqsuud-e-qaaynaat
Khairunnisaa, Hasan, Hussain, Mustafaa, Ali
Haq
Ali Ali Ali
Ali Maula Ali