Jhoom, Jhoom, Jhoom, Jhoom, Jhoom, Jhoom, Jhoom!
Hoton pe jaam laga, phir gagan ko choom
Hogi seene me jalan, sach se kadwe ghoonth
Laal paani, laal paani, laal paani, khoon !
Jhoom, Jhoom, Jhoom, Jhoom, Jhoom, Jhoom, Jhoom!
Shor-sharabe me mai dhoonta sukoon
Sharab ki manahi, bachpan se tha door
Bachpana gaya, mehboob kar liya kabool !
Tum karo apne dil ki, mai karu toh bhool?
Bole Mujhe kafir, unka khud kya wajood?
Haram aur halal kya? Sharbat-Sharab kya?
Sawaal bina jawab kya? nafrat se pyar yahan
Paardarshi paani, kuch na chupata
Har cheej milawati, mai bhi milata
Na bolta mujhko dar na Khuda ka
Mai bas musafir, laal pani ka pyasa
Jhoom, Jhoom, Jhoom, Jhoom, Jhoom, Jhoom, Jhoom!
Hoton pe jaam laga, phir gagan ko choom
Hogi seene me jalan, sach se kadwe ghoonth
Laal paani, laal paani, laal paani, khoon !
Mai ek marij, har ghoont ek dawa sa
Tum Jannat, mai dhoondu Dojak ka darwaja
Andheri raaton me diye ka ujala
Parwana ki Tarah mai khudko jalata
Samaj ka sataya, ankhoon me neend nahi
Laal Pari ki ankhon me dikhti ummed nayi
Jab sabhi khilaf the, ayi thi woh hanthon me
Mehak fijayon me, uske honth the gulab se
Makhmali likhawatein, bagawat ye
Ho na jaun ghayal, isliye woh hijab me
Mai raston ka shayar, na pasand ye naukri
Ghar pe ek mehkhana, aur jyada shauk nahj
Bas pair dag-magate, zubaan ladkhadati
Hua kal raat kya, mujhe rakhna yaad nahi
Peeker ye duniya dikhti aur bhi khoobsoorat hai
Laal pani jam jam, isme hai naematein
Toh peenede, mujhko peede de!
Na de nashihate, ek dard bhara mere seene me
Mai udna chahta, mujho pankh de
Laal rang ye, mujhko old monk de!
Har din ek sabak, zindagi imtehan hai
Thodi aur pila de saki, itni si bas ilteza hai
Jism ek bottle, Laal paani rooh ye
Kaise haram? jab Bismillah bola har ghoonth pe!
Jhoom Jhoom Jhoom Jhoom Jhoom Jhoom, Jhoom !
Hoton pe jaam laga, phir gagan ko choom
Hogi seene me jalan, sach se kadwe ghoonth
Laal paani, laal paani, laal paani, khoon !