Ae mere vatan ke logon, tum khub laga lo naara
Ye shubh din hai hum sab ka, lehara lo tiranga pyara
Par mat bhulo seema par, veeron ne hai praan ganwaye
Kuch yaad unhe bhi kar lo, kuch yaad unhe bhi kar lo
Jo laut ke ghar na aaye, jo laut ke ghar na aaye
Ae mere Watan ke logon, jara aankh me bhar lo paani
Jo shaheed huye hain unki, zara yaad karo kurbani
Ae mere Watan ke logon, jara aankh me bhar lo paani
Jo shaheed huye hain unki, zara yaad karo kurbani
Jab ghaayal huwa himalaya, khatare me padi aazadi
Jab tak thi saans lade wo
Jab tak thi saans lade wo, phir apni laash bichha di
Sangin pe dhar kar maatha, so gaye amar balidani
Jo shaheed huye hain unki, zara yaad karo kurbani
Jab desh mein thi diwali, wo khel rahe the holi
Jab hum baithe the gharon mein
Jab hum baithe th gharon mein, wo jhel rahe th goli
The dhanye jawan wo apne, thi dhanye wo unki jawani
Jo shaheed huye hain unki, zara yaad karo kurbani
Koyi sikh koyi jatt-maratha, koyi sikh, koyi jatt-maratha
Koyi gurkha koyi madrasi, koyi gurkha koyi madrasi
Sarhad pe marnewala
Sarhad pe marnewala, har veer tha bharatwaasi
Jo khoon gira parwat par, wo khoon tha hindustani
Jo shaheed huye hain unki, zara yaad karo kurbani
Thi khoon se lath-path kaaya, phir bhi bandook uthaake
Das-das ko ek ne maara, phir gir gaye hosh ganvaake
Jab ant samay aaya to
Jab ant samay aaya to, keh gaye ke ab marte hain
Jab ant samay aaya to, keh gaye ke ab marte hain
Khush rehana desh ke pyaaro, khush rehana desh ke pyaaro
Ab hum to safar karte hain, ab ham to safar karte hain
Kya log the wo diwane, kya log the wo abhimaani
Jo shaheed huye hain unki, jara yaad karo kurbaani
Tum bhool na jaao unko, iss liye kahi ye kahani
Jo shaheed huye hain unki, jara yaad karo kurbaani
Jai Hind, Jai Hind ki sena
Jai Hind, Jai Hind ki sena
Jai Hind, Jai Hind, Jai Hind