Текстов песен в базе: 1 278 232
Ki Toot Gayi

Ki Toot Gayi

Kavita Krishnamurthy Sapna Awasthi

Текст песни

Haaye haaye, haaye haaye
Dekhi humne beech bajariya
Jugni jaise koi dujariya
Apne mann ki baat sunaaye
Jugni naache jugni gaaye
Suno daastaan yeh meri, suno meri yeh kahaani
Koi mera tha deewana main bhi jiski thi deewani
Haai kaise the iraade jeene marne ke the vaade
Todi thi duniya ki rasmein khaayi thi ulfat ki kasmein
Maine khaayi kasam thi sachchi — 2
Par uski kasam thi kachchi
Ke toot gayi tadak karke — 4
Jab voh milne ko aata tha
Mere kaise gud gaata tha
Mujhko hoor pari kehta tha
Mujhko dekhta hi rehta tha
Kehta tha jo bhi ho jaaye hum na honge kabhi paraaye
Chaahe saari duniya roke par yeh milan rahega hoke
Tere pyaar mein voh jaadu hai ke ab dil mein tu hi tu hai
Daaka daala na ki chori maine pyaar kiya hai gori
Chhodoonga na baiyyaan tohri — 2
Par aisi thi pyaar ki dori
Ke toot gayi tadak karke — 2
Haai, ke toot gayi tadak karke
Ke toot gayi tadak karke
Jab thi main uski mannchaahi
Main manzil thi voh tha raahi
Main dhadkan thi voh mera dil
Main thi laher voh mera saahil
Kaise din the kaisi raatein kaisi pyaari thi voh baatein
Kaisi mauj mein hum rehte the kaise khoye se rehte the
Kaise roothte aur mante the, kaise jhoot moot bante the
Aankhon mein hai voh tasveerein
Dil par chalti hai shamsheerein
Yaad aati hai voh dildaarein — 2
Par jhoothi thi uski laarein
Ke toot gayi tadak karke — 4
Поделиться ссылкой:
Короткая ссылка: https://tekstpesni.ru/s/6Sa1

Тексты других песен исполнителя

© 2017–2025 Тексты песен
Все тексты песен на сайте размещены пользователями, редакцией или собраны из открытых источников.
При копировании материалов ссылка на сайт обязательна.
Связаться
Уважаемые обладатели прав на музыку! На сайте не выкладывается музыка, ее нельзя скачать, послушать и тому подобное.