Khawaja-E-Khwajgaan Muinuddin Faqr-E-Qaun-O-Makaan Muinuddin
Khwaja-E-La Makaan Kud Si Makaan Aasmaa-E-Aastaan Muinuddin
Mazhar-E-Jalwagaar-E-Noor Kidam Aaftab-E-Jahaan Muinuddin
Qurb-E-Haq Aye Niyaazgar Khwahi Saaz Vird-E-Zubaan Muinuddin
Khwaja Ji Maharaja Ji Tum Gareeb Nawaaz
Apna Kar Ke Raakhiyo Tohe Baanh Pakre Ki Laaj
Kirpa Karo Maharaaj Muinuddin
Khwaja Mujh Me Augun Bahut Hai Tohe Kahat Gareeb Nawaaj
Apna Kar Ke Raakhiyo Tohe Baanh Pakre Ki Laaj
More Augun Pe To Nigaah Na Karo Tum Apne Kare Ka Nibaah Karo
Main Buri Hun Bhali Hun Tihari Hun More Khwaja Mope Daya Karo
Bhool Bhool Ki Bhool Bhayi Bhala Main Bhooli Kab Tohe
Main Bhooli To Bhool Bhayi Par Tum Mat Bhuliyo Mohe
Kirpa Karo Khwaja Bhaag Jagao
Mujh Dukhiyan Ko Charan Lagaao
Dukhiya Hungiri Dukh Ke Bipat Mein Rowat Hun Nit Ghat Hi Ghat Mein
Tum Raakho To Rahe Jagat Mein Mujh Paapan Ki Laaj Muinuddin
Kirpa Karo Maharaaj Muinuddin
Tumri Daya Ki Sun Ke Khabariya Aan Pari Hun Main Tori Deheriya
Sukh Vase Ajmer Nagariya Jisme Karo Tum Raaj Muinuddin
Nibhti Nahin Ab Kaise Nibhaaun Tum Bin Kisko Haal Sunaaun
Tumri Kaha Ke Ab Kit Jaaun Tum Hi Kaho Maharaaj Muinuddin