Kehte hai, ki akelapan toh shayar ke liye zaruri hai
Kabhi kabhi toh aisa mohaul banao ki khudke saath bina darre kuch lamhe bitana,
aise na lage ki majboori hai
Darr kyu lage? Na tere jaane se, par tere aane se
Hum kyu jeeye tere behkaave mai, tere rehjaane se?
Sehma hua mai toh zindagi se, zinda-dili hoti meri khaali
Kaali-kaali raatein, jaani-maani baatein maare jaati mujhe, zinda tujhe khaati
Dooriyan satati, badhti aatishbaazi, sona nahi raazi, neend bhi jagati
Cheekh bhi sunaati, geet bhi na gaati, bheed ki gunaahi, sehmi nahi syaahi
Darr kyu lage? Na tere jaane se, par tere aane se
Hum kyu jeeye tere behkaave mai, tere rehjaane se?
4 din, 4 raatein beeti jaise mili saasein, kya din, kya shaam hai?
Jaam bhare meri aankhein, raah dekhu kaafi ho chuki raat
Chaand thehra jaise thehri saugaat
Baat badhi jaake bani woh baadh, ab behte jaate usme, bache na aaj
Mai kho chuka hu, khoj le mujhe
Mai chahta hu ki koi de sahara, dhundh le mujhe
Teri yaadein, yaadein nahi woh dard hai
Sar pe mere bada karz hai
Khudme baitha hu mai gharpe
Par aaj bhi mujhe…
Darr kyu lage? Na tere jaane se, par tere aane se
Hum kyu jeeye tere behkaave mai, tere rehjaane se?
Darr kyu lage? Na tere jaane se, par tere aane se
Hum kyu jeeye tere behkaave mai, tere rehjaane se?
4 din, 4 raatein beeti jaise mili saasein, kya din, kya shaam hai?
Jaam bhare meri aankhein…
Chaand thehra jaise thehri saugaat